logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - ali safdar - 2008

Zahoor kab hoga

(Zahoor Kab Hoga) x4 (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

Tarap rahain Hain is hasrat me aaj ham mola
khuda ke waste ab kijiye karam mola
ye haal hai(n) ke nikalta hai apna dam mola

jabeene dhundti hai aap ke qadam mola

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

Tumhi Se Milne ko ham jamkaran tak pohnche
jahan pe aaye ali us makan tak pohnche
samandaron me phire har jahaan tak pohnche

nishani hai jo teri us nishan tak pohnche

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

gayi hai(n) jaisay zade pao(n) ghaibat e sughra
usi tareekay se rukhsat ho gaibat e kubra
tumhare deed ki surat yehi hai ab mola

zamana daikhe imamat ka aakhri jalwa

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

karay ge aap jo makkay se karbala ka safar
hamara naam bhi ho kash farsare mehzar
chalenge sath tumhare jo moniso yawar

bas aisay waqt ka talib hai ye dil-e-muztar

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

tumhare naam pe sadqe karain ye sar kaisay
lutaye shaam-e-gharibaa(n) me apna ghar kaisa
hamare haal hi ki pohnche tum ko khabar kaisay

zahoor hoga tumhara yahan magar kaisay

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

bulaye jaayenge akber sunane ko
parenge dast bureeda alam uthane ko
chalenge jhoolay se asghar bhi muskurane ko

magar na jaaye ga ab koyi qaid khaane ko

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

ama saron se bhi chin jai gi rida ki qasam
dua kalejo se uthe ka kerbala ki qasam
adu koyi na bacha ga yaha(n) khuda ki qasam

katenge dast e sitam baazu-e-wafa ki qasam

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

"abad" to aaj hai sarwar ke sogwaro(n) mei
khuda kare ke yehi kal ho un baharo(n) mei
paye jihad ho maqtal ke sab sawaro(n) mei

lahu "abad" ka bhi shamil ho jaanisaro(n) mei

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

HomebookmarkmybayaazSetting